Sartaj Alam Abidi

pate rahe ye faiz teri be-ruKHi se hum

Sartaj Alam Abidi

Naugawan Sadat, Uttar pradesh, India

1936
paate rahe ye faiz tirī be-ruḳhī se ham
goyā ki duur hote rahe zindagī se ham
ġham dā.imī hai aur ḳhushī aarzī sī chiiz
is vāste qarīb nahīñ haiñ ḳhushī se ham
mahsūs tum se mil ke huā ham ko pahlī baar
haiñ ham-kanār aaj mujassam ḳhushī se ham
ik daur thā likhā thā mire dil pe terā naam
haiñ aaj terī bazm meñ ik ajnabī se ham
jalne se āshiyāñ ke charāġhāñ sā ho gayā
mahrūm ho chuke the na.ī raushnī se ham
hai zindagī kī shaam nahīñ ham-navā koī
har samt dekhte haiñ ajab bekasī se ham
taḳhrīb-e-kā.enāt hai insān-dushmanī
'sartāj' kah rahe haiñ ye har aadmī se ham
Top Urdushayar.com