Sartaj Alam Abidi

aaina-e-hayat pe chhaya ghubar hai

Sartaj Alam Abidi

Naugawan Sadat, Uttar pradesh, India

1936
ā.īna-e-hayāt pe chhāyā ġhubār hai
jis kī taraf uThā.eñ nazar dil-figār hai
tasvīr terī ahd-e-hasīñ kā hai ek naqsh
jo mere shahr-e-dil meñ tirī yādgār hai
terī sharāb-pāsh-nigāhoñ ke faiz se
ab be-piye hī mujh ko surūr-o-ḳhumār hai
ḳhushbū tumhārī DhūñDhtī phirtī rahī hameñ
pahuñchī vahīñ jahāñ pe hamārā mazār hai
chāho jo tum na mujh se ḳhafā ho kabhī bahār
duniyā-e-rañg-o-bū pe tumheñ iḳhtiyār hai
aa jaao tum bahār kī takmīl ke liye
mausam hai dil-fareb fazā sāzgār hai
'sartāj' qasr-e-zīst imārat ajiib hai
ne gosha-e-panāh na rāh-e-farār hai
Top Urdushayar.com