Sartaj Alam Abidi

teri naraazgi fasl-e-KHizan hai

Sartaj Alam Abidi

Naugawan Sadat, Uttar pradesh, India

1936
terī nārāzgī fasl-e-ḳhizāñ hai
rifāqat gulistāñ hī gulistāñ hai
huī hai vaar par jis kī samā.at
hadīs-e-ishq aisī dāstāñ hai
yaqīnan inqalāb aayā hai koī
hamārā zikr aur un kī zabāñ hai
ġhamoñ kā zañg jo dil se miTā de
vo dilkash aap kā tarz-e-bayāñ hai
mujhe mauj-e-havādis kā nahīñ Dar
safīna kī mire himmat javāñ hai
vatan ke rahnumā se pūchhtā huuñ
vo rahzan hai ki mīr-e-kārvāñ hai
Top Urdushayar.com