un laboñ kī yaad aa.ī gul ke muskurāne se
zaḳhm-e-dil ubhar aa.e phir bahār aane se
jaane thī gurez un ko yā ki sharm mahfil meñ
raat mujh se katrā.e vo nazar milāne se
raaz jo chhupā.e the aaj sab pe zāhir haiñ
kuchh mirī kahānī se kuchh tire fasāne se
haal jo hamārā hai sab to un pe raushan hai
phir batā.ūñ kyā hogā hāl-e-dil sunāne se
un ko ham se kyā matlab ham ko kyā ġharaz 'fayyāz'
tark ishq kar baiThe ham to ik zamāne se