ye jahāñ ḳhuub hai sab is ke nazāre achchhe
us se baḌh kar haiñ ise chāhne vaale achchhe
ek hī dauḌ meñ shāmil hoñ sabhī log to phir
saare aġhyār bhale haiñ sabhī apne achchhe
aaj bhī terī himāyat hai ki ai mauj-e-balā
chashm-e-namnāk bhalī ḳhuun ke dhāre achchhe
kis kī tārīf kareñ kis ke qasīde likkheñ
nafs-e-mazmūn se baḌh kar haiñ havāle achchhe
in dinoñ āb-o-havā-e-dil-o-jāñ behtar hai
māh-ruḳh māh-jabīñ maah ke paare achchhe
ye to ik kār-e-ziyāñ hai jo rahegā jaarī
ham se ā.eñge suḳhan-var abhī achchhe achchhe