Gauhar Seema

kya ab kisi ki aarzu ya justuju karen

Gauhar Seema

kyā ab kisī kī aarzū yā justujū kareñ
ab ḳhud se hī savāl kareñ guftugū kareñ
koī to kaam aisā kareñ zindagī meñ ham
kuchh apne vāldain ko bhī surḳh-rū kareñ
Dāleñ nazar ham apne bhī aiboñ pe dostoñ
jab aa.ine ko apne kabhī rū-ba-rū kareñ
qudrat ke kārnāmoñ meñ hai kitnī dilkashī
lagtā hai bārishoñ meñ ki patte vuzū kareñ
ab ḳhatm kar de zindagī sāñsoñ kā silsila
ham apnī ḳhvāhishoñ kā kahāñ tak lahū kareñ
Top Urdushayar.com