ziist meñ tārīkiyāñ baḌhtī ga.iiñ
lamha lamha siskiyāñ baḌhtī ga.iiñ
be-zabān jab ho ga.ī ye zindagī
zehn meñ sargoshiyāñ baḌhtī ga.iiñ
ḳhvāhishoñ ke phuul murjhāne lage
phir mirī ye hichkiyāñ baḌhtī ga.iiñ
zaḳhm khā kar muskurāte hī rahe
dil kī ye ḳhāmoshiyāñ baḌhtī ga.iiñ
sochte hī sochte guzrā safar
ḳhvāb kī sarmastiyāñ baḌhtī ga.iiñ