Sahir lakhnavi

fasl aisi hai ulfat ke daman tale

Sahir lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1935
fasl aisī hai ulfat ke dāman tale
ham jaleñ tum jalo saarī duniyā jale
tap ke kundan kī mānind nikhrā junūñ
jis qadar ġham baḌhā baḌh ga.e hausle
dil meñ phailī hai yuuñ raushnī yaad kī
jaise vīrān mandir meñ dīpak jale
jashn se merī barbādiyoñ kā chalo
dosto aao shīshe meñ sho.ala Dhale
har-nafas jaise jiine kī ta.azīr hai
kitne dushvār haiñ umr ke marhale
ham ulajhte rahe falsafī kī tarah
aur baḌhte ga.e vaqt ke mas.ale
moḌ sakte haiñ duniyā kā ruḳh aaj hī
aap se kuchh hasīñ ham se kuchh manchale
vaqt mujh se mirā hāfiza chhīn le
aag meñ koī yādoñ kī kab tak chale
ḳhanda-e-gul se 'sāhir' na bahleñge ham
tāza-dam meñ junūñ ke abhī valvale
Top Urdushayar.com