Akhtar Siddiqui

tera har raaz chhupae hue baiTha hai koi

Akhtar Siddiqui

terā har raaz chhupā.e hue baiThā hai koī
ḳhud ko dīvāna banā.e hue baiThā hai koī
sāqī-e-bazm ke maḳhsūs ishāroñ kī qasam
jaam hoñToñ se lagā.e hue baiThā hai koī
is numā.ish-gah-e-ālam meñ kamī hai ab tak
ashk āñkhoñ meñ chhupā.e hue baiThā hai koī
shab kī devī kā sukūt aur hī kuchh kahtā hai
phir bhī do sham.eñ jalā.e hue baiThā hai koī
merī ik ārzū-e-dīd kā e.ajāz na pūchh
muñh ko hāthoñ se chhupā.e hue baiThā hai koī
yaad bhī terī ik āzār-e-musalsal hai magar
apne siine se lagā.e hue baiThā hai koī
ham ko ma.alūm hai 'aḳhtar' ki hamārī ḳhātir
ek aalam ko bhulā.e hue baiThā hai koī
Top Urdushayar.com