mahv-e-nazzāra-e-hairat hai havā pahlī baar
mujh pe darvāza-e-mahtāb khulā pahlī baar
hijr kī shab se bahut duur sar-e-matla-e-shauq
ab ke tanhā.ī meñ vo mujh se milā pahlī baar
ab na ehsān kareñ mujh pe ye kaalī rāteñ
is añdhere meñ jalā koī diyā pahlī baar
ab dhanak-rañg bahut saaf nazar aate haiñ
apne ā.īne meñ aa.ī hai jilā pahlī baar
ik haqīqat ne kiyā ḳhvāb sā jaadū mujh par
aur maiñ der talak sotā rahā pahlī baar
aur phir dasht-e-junūñ mujh ko bahut yaad aayā
chāk-e-dāmāñ jo abhī maiñ ne siyā pahlī baar