is baar un se mil ke judā ham jo ho ga.e
un kī saheliyoñ ke bhī āñchal bhigo ga.e
chaurāhoñ kā to husn baḌhā shahr ke magar
jo log nāmvar the vo patthar ke ho ga.e
sab dekh kar guzar ga.e ik pal meñ aur ham
dīvār par bane hue manzar meñ kho ga.e
mujh ko bhī jāgne kī aziyyat se de najāt
ai raat ab to ghar ke dar-o-bām so ga.e
kis kis se aur jaane mohabbat jatāte ham
achchhā huā ki baal ye chāñdī ke ho ga.e
itnī lahūluhān to pahle fazā na thī
shāyad hamārī āñkhoñ meñ ab zaḳhm ho ga.e
iḳhlās kā muzāhira karne jo aa.e the
'az.har' tamām zehn meñ kāñTe chubho ga.e