banā.e zehn parindoñ kī ye qatār mirā
isī nazāre se kuchh kam ho intishār mirā
jo maiñ bhī aag meñ hijrat kā tajraba kartā
muhājiroñ hī meñ hotā vahāñ shumār mirā
phir apnī āñkheñ sajā.e hue maiñ ghar aayā
safar ik aur rahā ab ke ḳhush-gavār mirā
tamām umr to ḳhvāboñ meñ kaT nahīñ saktī
bahut dinoñ to kiyā us ne intizār mirā
ye merā shahr mirī ḳhāmiyoñ se vāqif hai
yahāñ kisī ko na aa.egā e'tibār mirā
ye log sirf mirī zindagī ke dushman haiñ
mujassama ye banā.eñge shāndār mirā
mirī bisāt se 'az.har' bahut ziyāda thiiñ
tavaqquāt jo rakhtā thā mujh se yaar mirā