Azhar Inayati

ghamon se yun wo farar iKHtiyar karta tha

Azhar Inayati

Rampur, Uttar pradesh, India

1946
ġhamoñ se yuuñ vo farār iḳhtiyār kartā thā
fazā meñ uḌte parinde shumār kartā thā
bayān kartā thā dariyā ke paar ke qisse
ye aur baat vo dariyā na paar kartā thā
bichhaḌ ke ek hī bastī meñ donoñ zinda haiñ
maiñ us se ishq to vo mujh se pyaar kartā thā
yūñhī thā shahr kī shaḳhsiyyatoñ ko ranj us se
ki vo zideñ bhī baḌī pur-vaqār kartā thā
kal apnī jaan ko din meñ bachā nahīñ paayā
vo aadmī ki jo aahaT pe vaar kartā thā
vo jis ke sehn meñ koī gulāb khil na sakā
tamām shahr ke bachchoñ se pyaar kartā thā
sadāqateñ thiiñ mirī bandagī meñ jab 'az.har'
hifāzateñ mirī parvardigār kartā thā
Top Urdushayar.com