Azhar Inayati

nazar ki zad mein sar koi nahin hai

Azhar Inayati

Rampur, Uttar pradesh, India

1946
nazar kī zad meñ sar koī nahīñ hai
fasīl-e-shahr par koī nahīñ hai
bahut muḳhlis haiñ us ke gaañv vaale
paḌhā-likkhā magar koī nahīñ hai
ḳhabar ik ghar ke jalne kī hai lekin
bachā bastī meñ ghar koī nahīñ hai
kahīñ jaa.eñ kisī bhī vaqt aa.eñ
baḌoñ kā dil meñ Dar koī nahīñ hai
mujhe ḳhud TuuT kar vo chāhtā hai
mirā is meñ hunar koī nahīñ hai
ham apne saath jaa.eñ bhī kahāñ tak
hamārā ham-safar koī nahīñ hai
abhī āñdhī pe 'az.har' tabsire haiñ
charāġhoñ kī ḳhabar koī nahīñ hai
Top Urdushayar.com