Azhar Inayati

KHat uske apne hath ka aata nahin koi

Azhar Inayati

Rampur, Uttar pradesh, India

1946
ḳhat us ke apne haath kā aatā nahīñ koī
kyā hādsa huā hai batātā nahīñ koī
guḌiyāñ javān kyā huiiñ mere paḌos kī
āñchal meñ jugnuoñ ko chhupātā nahīñ koī
jab se batā diyā hai nujūmī ne merā naam
apnī hatheliyoñ ko dikhātā nahīñ koī
kuchh itnī tez dhuup na.e mausamoñ kī hai
biitī huī rutoñ ko bhulātā nahīñ koī
dekhā hai jab se ḳhud ko mujhe dekhte hue
ā.īna sāmne se haTātā nahīñ koī
'az.har' yahāñ hai ab mire ghar kā akelā-pan
sūraj agar na ho to jagātā nahīñ koī
Top Urdushayar.com