hijr kī manzil hameñ ab ke pasand aa.ī nahīñ
ham akele haiñ magar hamrāh tanhā.ī nahīñ
ek din chhin jā.egā āñkhoñ se saarā rañg-o-nūr
dekh lo un ko ki ye manzar hameshā.ī nahīñ
ik junūñ ke vāste bastī ko vus.at dī ga.ī
ek vahshat ke liye sahrā meñ pahnā.ī nahīñ
kaun se manzar kī tābānī añdherā kar ga.ī
aisā kyā dekhā ki ab āñkhoñ meñ bīnā.ī nahīñ
jab kabhī fursat milegī dekh leñge saare ḳhvāb
ḳhvāb bhī apne haiñ ye rāteñ bhī harjā.ī nahīñ