Azhar Inayati

rangaten masum chehron ki bujha di jaengi

Azhar Inayati

Rampur, Uttar pradesh, India

1946
rañgateñ ma.asūm chehroñ kī bujhā dī jā.eñgī
titliyāñ āñdhī ke jhoñkoñ se uḌā dī jā.eñgī
hasrat-e-nazzārgī bhaTkegī har har gaam par
ḳhvāb hoñge aur ta.abīreñ chhupā dī jā.eñgī
āhaTeñ gūñjeñgī aur koī na aa.egā nazar
pyaar kī ābādiyāñ sahrā banā dī jā.eñgī
is qadar dhuñdlā.eñge naqsh-o-nigār-e-āzarū
dekhte hī dekhte āñkheñ gañvā dī jā.eñgī
fursateñ hoñgī magar aisī baḌheñgī talḳhiyāñ
sirf yādeñ hī nahīñ shakleñ bhulā dī jā.eñgī
is qadar ro.eñgī āñkheñ dekh kar pichhle ḳhutūt
āñsuoñ se saarī tahrīreñ miTā dī jā.eñgī
raat ke jugnū pe hogā chaḌhte sūraj kā gumāñ
zulmateñ māhaul kī itnī baḌhā dī jā.eñgī
Top Urdushayar.com