udaas udaas tabī.at jo thī bahalne lagī
abhī maiñ ro hī rahā thā ki rut badalne lagī
paḌos vālo! darīchoñ ko mat khulā chhoḌo
tumhāre ghar se bahut raushnī nikalne lagī
zarā thame the ki phir ho ga.e ravāñ aañsū
jo ruk ga.ī thī vo ġham kī barāt chalne lagī
bhalā ho shahr ke logoñ kī ḳhush-libāsī kā
ki be-kasī bhī mirā pairahan badalne lagī
Thahar ga.ī hai kahāñ aa ke Dhalte Dhalte raat
mirī nazar bhī charāġhoñ ke saath jalne lagī
nazar uThī to añdherā thā jab qadam uTThe
shuā-e-mahr mire saath saath chalne lagī
sitam-zarīfī-e-fitrat to dekhiye 'az.har'
shabāb aayā ġhazal par to umr Dhalne lagī