shurū-e-ishq meñ logoñ ne itnī shiddat kī
ki rafta rafta kamī ho ga.ī mohabbat kī
ye kārgāh-e-zehānat hai is meñ chhoTe kyā
baḌe-baḌoñ ne yahāñ par baḌī himāqat kī
jahāñ se ilm kā ham ko ġhurūr hotā hai
vahīñ se hotī hai bas ibtidā jahālat kī
jo aadmī hai talāsh-e-sakūñ meñ sadiyoñ se
usī ne kar dī yahāñ intihā bhī vahshat kī
purāne logoñ ko har daur meñ rahā shikva
na.e dimāġhoñ ne har ahd meñ baġhāvat kī
dikhā.ī detā nahīñ apnā mom ho jaanā
shikāyateñ haiñ hameñ dhuup se tamāzat kī
isī liye to añdhere meñ aaj baiThe haiñ
ki ham ne apne charāġhoñ kī kab hifāzat kī