is rāste meñ jab koī saaya na pā.egā
ye āḳhirī daraḳht bahut yaad aa.egā
bichhḌe huoñ kī yaad to aa.egī jīte-jī
mausam rafāqatoñ kā palaT kar na aa.egā
taḳhlīq aur shikast kā dekheñge log fan
dariyā habāb sat.h pe jab tak bānegā
har har qadam pe ā.ina-bardār hai nazar
be-chehragī ko koī kahāñ tak chhupā.egā
merī sadā kā qad hai fazā se bhī kuchh buland
zālim fasīl-e-shahr kahāñ tak uThā.egā
tārīf kar rahā hai abhī tak jo aadmī
uTThā to mere aib hazāroñ ginā.egā