fikr meñ haiñ hameñ bujhāne kī
āñdhiyāñ 'mīr' ke zamāne kī
merā ghar hai purāne vaqtoñ kā
us kī āñkheñ na.e zamāne kī
ab koī baat bhūltā hī nahīñ
haa.e vo umr bhuul jaane kī
apne andar kā shor kam to huā
ḳhāmushī meñ kitāb-ḳhāne kī
ek manzar thā yaad rakhne kā
ek tasvīr thī banāne kī