Azhar Inayati

tamam shaKHsiyat uski hasin nazar aai

Azhar Inayati

Rampur, Uttar pradesh, India

1946
tamām shaḳhsiyat us kī hasīñ nazar aa.ī
jab us ke qatl kī aḳhbār meñ ḳhabar aa.ī
sharīf log chaḌhe jab nahīñ haiñ koThoñ par
to kis ke saath ye tahzīb baam par aa.ī
guzar ke mujh ko ḳhad-o-ḳhāl ke sarāboñ se
tamām shahr meñ be-chehragī nazar aa.ī
ḳhamosh kyā huī buḌhiyā safed bāloñ kī
kahāniyoñ kī koī raat phir na ghar aa.ī
ajiib shaḳhs thā kuchh der guftugū jo huī
dil o dimāġh meñ ik raushnī utar aa.ī
duā.eñ maañg rahe the havā kī log magar
havā chalī bhī to āñkhoñ meñ dhuul bhar aa.ī
gulāb TuuT ke bikhrā thā kal jahāñ 'az.har'
usī maqām pe ḳhushbū mujhe nazar aa.ī
Top Urdushayar.com