Azhar Inayati

abhi bichhDa hai wo kuchh roz to yaad aaega

Azhar Inayati

Rampur, Uttar pradesh, India

1946
abhī bichhḌā hai vo kuchh roz to yaad aa.egā
naqsh raushan hai magar naqsh hai dhuñdlā.egā
ghar se kis tarah maiñ niklūñ ki ye maddham sā charāġh
maiñ nahīñ hūñgā to tanhā.ī meñ bujh jā.egā
ab mire ba.ad koī sar bhī nahīñ hogā tulūa
ab kisī samt se patthar bhī nahīñ aa.egā
merī qismat to yahī hai ki bhaTaknā hai mujhe
rāste tū mire hamrāh kidhar jā.egā
apne zehnoñ meñ rachā lījiye is daur kā rañg
koī tasvīr banegī to ye kaam aa.egā
itne din ho ga.e bichhḌe hue us se 'az.har'
mil bhī jā.egā to pahchān nahīñ pā.egā
Top Urdushayar.com