haqīqatoñ kā na.ī rut kī hai irāda kyā
kahāniyoñ hī meñ le saañs shāhzāda kyā
ye rañg-zār hai apnā paroñ pe titlī ke
dhanak ho ḳhud meñ to phūloñ se istifāda kyā
mohabbatoñ meñ ye rusvā.iyāñ to hotī haiñ
sharāfateñ tirī kyā merā ḳhānvāda kyā
agar vo pheñk de kashkol apne virse kā
to is jahāñ meñ kare bhī faqīr-zāda kyā
zideñ to shaan huā kartī haiñ ra.īsoñ kī
jo chauthī samt na jaa.e vo shāhzāda kyā
ye mere naqsh ye merī sharāfateñ 'az.har'
ab aur chāhiye is se mujhe ziyāda kyā