tire taqāzoñ pe chehre badal rahā huuñ maiñ
na.e zamāne tire saath chal rahā huuñ maiñ
charāġh-e-āḳhir-e-shab huuñ magar abhī sūraj
sukūn se tū nikalnā ki jal rahā huuñ maiñ
ye chāhtā huuñ kī har ruḳh se dekh luuñ duniyā
ye zāviye jo nazar ke badal rahā huuñ maiñ
na.ī havā.eñ abhī sab gharoñ tak aa.ī nahīñ
abhī to haath kā pañkhā hī jhal rahā huuñ maiñ
mire nashe mujhe ab laḌkhaḌāne mat denā
sharāb-ḳhāne se bāhar nikal rahā huuñ maiñ
zarā sā vaqt hai aur duur merī manzil hai
isī liye to bahut tez chal rahā huuñ maiñ