Azhar Inayati

wo taza-dam hain nae shoabde dikhate hue

Azhar Inayati

Rampur, Uttar pradesh, India

1946
vo tāza-dam haiñ na.e sho.abde dikhāte hue
avaam thakne lage tāliyāñ bajāte hue
sambhal ke chalne kā saarā ġhurūr TuuT gayā
ik aisī baat kahī us ne laḌkhaḌāte hue
ubhārtī huī jazbāt ko ye tasvīreñ
ye inqalāb hamāre gharoñ meñ aate hue
isī liye ki kahīñ un kā qad na ghaT jaa.e
salām ko bhī vo Darte haiñ haath uThāte hue
is aadmī ne bahut qahqahe lagā.e haiñ
ye aadmī jo laraztā hai muskurāte hue
javān ho ga.ī ik nasl sunte sunte ġhazal
ham aur ho ga.e būḌhe ġhazal sunāte hue
huā ujālā to ham un ke naam bhuul ga.e
jo bujh ga.e haiñ charāġhoñ kī lau baḌhāte hue
yahī usuul hai islāh-e-hāl kā 'az.har'
ki pur-ḳhulūs hoñ ham ḳhāmiyāñ gināte hue
Top Urdushayar.com