maiñ samundar thā mujhe chain se rahne na diyā
ḳhāmushī se kabhī dariyāoñ ne bahne na diyā
apne bachpan meñ jise sun ke maiñ so jaatā thā
mere bachchoñ ne vo qissa mujhe kahne na diyā
kuchh tabī.at meñ thī āvāra mizājī shāmil
kuchh buzurgoñ ne bhī ghar meñ mujhe rahne na diyā
sar-bulandī ne mirī shahr-e-shikasta meñ kabhī
kisī dīvār ko sar par mire Dahne na diyā
ye alag baat ki maiñ nuuh nahīñ thā lekin
maiñ ne kashtī ko ġhalat samt meñ bahne na diyā
baad mere vahī sardār-e-qabīla thā magar
buz-dilī ne use ik vaar bhī sahne na diyā