kuchh aarzī ujāle bachā.e hue haiñ log
muTThī meñ jugnuoñ ko chhupā.e hue haiñ log
us shaḳhs ko to qatl hue der ho ga.ī
ab kis liye ye bhiiḌ lagā.e hue haiñ log
barsoñ purāne dard na aTkheliyāñ kareñ
ab to na.e ġhamoñ ke satā.e hue haiñ log
āñkheñ ujaḌ chukī haiñ magar rañg rañg ke
ḳhvāboñ kī ab bhī fasl lagā.e hue haiñ log
kyā rah gayā hai shahr meñ khañDarāt ke sivā
kyā dekhne ko ab yahāñ aa.e hue haiñ log
kuchh din se be-dimāġhi-e-'az.har' hai rañg par
bastī meñ us ko 'mīr' banā.e hue haiñ log