abhī rusvā.iyoñ kā ik baḌā bāzār aa.egā
phir is ke baad hī vo kūcha-e-dildār aa.egā
vatan kī ek tasvīr ḳhayālī sab banāte haiñ
ḳhabar lekin nahīñ kyā is meñ kū-e-yār aa.egā
gul-e-shāḳh-e-mohabbat par lahū kā rañg khiltā hai
ki ab rañg-e-hinā zikr-e-lab-o-ruḳhsār aa.egā
hamāre vāste bhī sā.at-e-hamvār Thahregī
ki rāh-e-shauq meñ jis dam vo nā-hamvār aa.egā
abhī āb-o-havā-e-jism ke asrār khulte haiñ
abhī vo toḌne is jism kī dīvār aa.egā
karo ahl-e-junūñ kuchh to karo sāmān-e-dildārī
ki shahr-e-ishq meñ vo shoḳh pahlī baar aa.egā