kabhī qarīb kabhī duur ho ke rote haiñ
mohabbatoñ ke bhī mausam ajiib hote haiñ
zihānatoñ ko kahāñ vaqt ḳhuuñ bahāne kā
hamāre shahr meñ kirdār qatl hote haiñ
fazā meñ ham hī banāte haiñ aag ke manzar
samundaroñ meñ hamīñ kashtiyāñ Dubote haiñ
palaT chaleñ ki ġhalat aa ga.e hamīñ shāyad
ra.iis logoñ se milne ke vaqt hote haiñ
maiñ us dayār meñ huuñ be-sukūn barsoñ se
jahāñ sukūn se ajdād mere sote haiñ
guzār dete haiñ umreñ ḳhulūs kī ḳhātir
purāne log bhī 'az.har' ajiib hote haiñ