Azhar Inayati

wo mujhse mera taaruf karane aaya tha

Azhar Inayati

Rampur, Uttar pradesh, India

1946
vo mujh se merā ta.āruf karāne aayā thā
abhī guzar jo gayā ik aziim lamha thā
sunā hai maiñ ne yahāñ surḳh ghaas aa ga.ī thī
vo bādshāh yahīñ apnī jañg haarā thā
hamārī raat se behtar thī agle vaqt kī raat
har ek ghar meñ diyā sub.h tak to jaltā thā
aziiz mujh ko bhī the naqsh apne maazī ke
use bhī shauq purānī imāratoñ kā thā
ab apne sar kā tahaffuz bhī aap ḳhud kiije
fazā meñ aap ne patthar bhī ḳhud uchhālā thā
gayā to apnī udāsī bhī de gayā mujh ko
tamām din jo mire saath hañstā rahtā thā
ab us se ek baḌā naam juḌ gayā 'az.har'
jo shāh-kār mirī fikr ne banāyā thā
Top Urdushayar.com