kyā kyā navāh-e-chashm kī ra.anā.iyāñ ga.iiñ
mausam gayā gulāb ga.e titliyāñ ga.iiñ
jhūTī siyāhiyoñ se haiñ shajre likhe hue
ab ke hasab-nasab kī bhī sachchā.iyāñ ga.iiñ
kis zehn se ye saare mahāzoñ pe jañg thī
kyā fat.h ho gayā ki saf-ārā.iyāñ ga.iiñ
karne ko raushnī ke ta.āqub kā tajraba
kuchh duur mere saath bhī parchhā.iyāñ ga.iiñ
aage to be-charāġh gharoñ kā hai silsila
mere yahāñ se jaane kahāñ āñdhiyāñ ga.iiñ
'az.har' mirī ġhazal ke sabab ab ke shahr meñ
kitnī na.ī purānī shanāsā.iyāñ ga.iiñ