chalte chalte saal kitne ho ga.e
peḌ bhī raste ke būḌhe ho ga.e
uñgliyāñ mazbūt hāthoñ se chhuTīñ
bhiiḌ meñ bachche akele ho ga.e
hādisa kal aa.ine par kyā huā
reza reza aks mere ho ga.e
DhūñDhiye to dhuup meñ milte nahīñ
mujrmoñ kī tarah saa.e ho ga.e
merī ḳhāmoshī pe the jo ta.ana-zan
shor meñ apne hī bahre ho ga.e
chāñd ko maiñ chhū nahīñ paayā magar
ḳhvāb sab mere sunahre ho ga.e
merī gum-nāmī se 'az.har' jab mile
shohratoñ ke haath maile ho ga.e