Azhar Inayati

is hadse ko dekh ke aankhon mein dard hai

Azhar Inayati

Rampur, Uttar pradesh, India

1946
is hādse ko dekh ke āñkhoñ meñ dard hai
apnī jabīñ pe apne hī qadmoñ kī gard hai
aa thoḌī der baiTh ke bāteñ kareñ yahāñ
tere to yaar lahje meñ apnā sā dard hai
kyā ho ga.iiñ na jaane tirī garm-joshiyāñ
mausam se aaj haath sivā terā sard hai
tārīḳh bhī huuñ utne baras kī moarriḳho
chehre pe mere jitne baras kī ye gard hai
ai raat tere chāñd sitāroñ meñ vo kahāñ
bujhte hue charāġh kī lau meñ jo dard hai
'az.har' jo qatl ho gayā vo bhaa.ī thā magar
qātil bhī mere apne qabīle kā fard hai
Top Urdushayar.com