fan uḌānoñ kā jab ījād kiyā thā maiñ ne
kuchh parindoñ ko bhī āzād kiyā thā maiñ ne
ab koī shahr ujaḌtā hai to ye lagtā hai
jaise is shahr ko ābād kiyā thā maiñ ne
shor itnā huā āñgan meñ ki phir bhuul gayā
aaj barsoñ meñ use yaad kiyā thā maiñ ne
aap ayyāsh nahīñ aap burā maan ga.e
zikr-e-sarmāya-e-ajdād kiyā thā maiñ ne
āj-kal kuchh bhī nahīñ maan rahā hai 'az.har'
apne qaabū meñ jo ham-zād kiyā thā maiñ ne