kisī ke ḳhvāb se baaqī na bedārī se qaa.em hai
jahān-e-dard bas merī adā-kārī se qaa.em hai
zabāñ se kuchh nahīñ kahte so dil ko haul aatā hai
ki ye shahr-e-havas kis kī dil-āzārī se qaa.em hai
jahāñ meñ be-hunar logoñ ko koī kaise samjhā.e
ki ye duniyā abhī tak kār-e-be-kārī se qaa.em hai
ḳhizāñ ke giit to ham log kab se gaate aa.e haiñ
fanā kā ḳhauf phir kis kī jahāñ-dārī se qaa.em hai
ruḳh-e-mahtāb se kuchh bhī ayaañ hotā rahe lekin
ye kārobār-e-duniyā sirf ayyārī se qaa.em hai