Azhar Inayati

har ek raat ko mahtab dekhne ke liye

Azhar Inayati

Rampur, Uttar pradesh, India

1946
har ek raat ko mahtāb dekhne ke liye
maiñ jāgtā huuñ tirā ḳhvāb dekhne ke liye
na jaane shahr meñ kis kis se jhuuT bolūñgā
maiñ ghar ke phūloñ ko shādāb dekhne ke liye
isī liye maiñ kisī aur kā na ho jā.ūñ
mujhe vo de gayā ik ḳhvāb dekhne ke liye
kisī nazar meñ to rah jaa.e āḳhirī manzar
koī to ho mujhe ġharqāb dekhne ke liye
ajiib sā hai bahānā magar tum aa jaanā
hamāre gaañv kā sailāb dekhne ke liye
paḌosiyoñ ne ġhalat rañg de diyā 'az.har'
vo chhat pe aayā thā mahtāb dekhne ke liye
Top Urdushayar.com