Azhar Inayati

qayamat aaegi mana ye hadisa hoga

Azhar Inayati

Rampur, Uttar pradesh, India

1946
qayāmat aa.egī maanā ye hādisa hogā
magar chhupā huā manzar to rūnumā hogā
musāhiboñ meñ ghire hoñge zill-e-sub.hānī
ġhanīm shahr ko tārāj kar rahā hogā
abhī fazā meñ thī ik tez raushnī kī lakīr
na jaane TuuT ke taarā kahāñ girā hogā
aziiz mujh se thā in.aam mere sar kā use
ra.iis ek hī shab meñ vo ho gayā hogā
huī jo baat to vo aam aadmī niklā
gumān thā ki na.e ruḳh se sochtā hogā
rahegā sāmne kab tak ye nīlgūñ manzar
ye āsmān kahīñ ḳhatm to huā hogā
ajab safar hai mujhe bhī patā nahīñ 'az.har'
ki agle moḌ pe kirdār merā kyā hogā
Top Urdushayar.com