muḳhtasar sī zindagī meñ kitnī nādānī kare
in nazāroñ ko koī dekhe ki hairānī kare
dhuup meñ in ābgīnoñ ko liye phirtā huuñ maiñ
koī saaya mere ḳhvāboñ kī nigahbānī kare
ek maiñ huuñ aur dastak kitne darvāzoñ pe duuñ
kitnī dahlīzoñ pe sajda ek peshānī kare
raat aisī chāhiye māñge jo din bhar kā hisāb
ḳhvāb aisā ho jo in āñkhoñ meñ vīrānī kare
sāhiloñ par maiñ khaḌā huuñ tishna-kāmoñ kī tarah
koī mauj-e-āb merī aañkh ko paanī kare