har vafā nā-āshnā se bhī vafā karnā paḌī
dil se dushman ke liye aksar duā karnā paḌī
maiñ huā rusvā to merā ġham bhī rusvā ho gayā
zindagī kī kis qadar qīmat adā karnā paḌī
ai nigāh-e-mohtasib jo chāhe tū kah le mujhe
jīte-jī is dil ke hāthoñ har ḳhatā karnā paḌī
hai fareb-e-dil bhī shāyad vaj.h-e-takmīl-e-vafā
ārzū-e-dil bhī ham-rañg-e-hinā karnā paḌī
ziist kī ḳhuddāriyoñ par harf laane ke liye
dostoñ ko bhī karam kī intihā karnā paḌī
ahl-e-dil ne hī bharam rakkhā ġhurūr-e-husn kā
varna tum bhī kah uThe the ab duā karnā paḌī
be-nigāh-e-lutf-e-sāqī kaam kuchh bantā nahīñ
husn-e-be-parvā se 'hāmid' iltijā karnā paḌī