Mahtab Haider Naqvi

tera chehra na mera husn-e-nazar hai sab kuchh

Mahtab Haider Naqvi

Hardoi, Uttar pradesh, India

1955
terā chehra na mirā husn-e-nazar hai sab kuchh
haañ magar dard-e-dil-e-ḳhāk-basar hai sab kuchh
mere ḳhvāboñ se alag mere sarāboñ se judā
is mohabbat meñ koī vahm magar hai sab kuchh
baat to tab hai ki tū bhī ho muqābil mere
jān-e-man phir tirā ḳhanjar mirā sar hai sab kuchh
terī marzī hai ise chāhe to sairāb kare
is bayābāñ ko tirī ek nazar hai sab kuchh
misl-e-mazmūn-e-ġhazal kuchh nahīñ ye hijr o visāl
haañ vahī yaar tarah-dār magar hai sab kuchh
Top Urdushayar.com