matlab ke liye haiñ na ma.ānī ke liye haiñ
ye sher tabī.at kī ravānī ke liye haiñ
vo chashm agar sehr-bayānī ke liye hai
ye lab bhī mirī tishna-dahānī ke liye haiñ
jo mere shab-o-roz meñ shāmil hī nahīñ the
kirdār vahī merī kahānī ke liye haiñ
ye daaġh mohabbat kī nishānī ke alāva
ai ishq tirī marsiya-ḳhvānī ke liye haiñ
aatī hai sukūt-e-sahar-o-shām kī āvāz
dar-asl to ham naql-e-makānī ke liye haiñ
jo rañg gul o laala o nasrīñ se haiñ mansūb
vo rañg ab āshufta-bayānī ke liye haiñ