Munawwar Aziz

der tak ek saya-e-abr guman dekha hua

Munawwar Aziz

der tak ik saya-e-abr gumāñ dekhā huā
aag bantā jā rahā hai sā.ebāñ dekhā huā
phir isī shiddat kī Tīseñ haiñ dil-e-kaj-fahm meñ
phir vahī hai majma-e-chāra-garāñ dekhā huā
dekhtā rahtā huuñ shakleñ sochtā rahtā huuñ naam
DhūñDhtā phirtā huuñ aks-e-nā-gahāñ dekhā huā
raaz hai koī jo mujh par munkashif hone ko hai
kis liye lagtā hai an-dekhā jahāñ dekhā huā
kyā kahūñ kis kaif meñ gum hai mirī chashm-e-ḳhayāl
har koī mahsūs hotā hai yahāñ dekhā huā
jhuuT Thahrā hai 'munavār' un rutoñ ke darmiyāñ
ḳhvāb-e-imkān-e-numū paivand-e-jāñ dekhā huā
Top Urdushayar.com