agar koī ḳhalish-e-jāvedāñ salāmat hai
to phir jahāñ meñ ye tarz-e-fuġhāñ salāmat hai
abhī to bichhḌe hue log yaad ā.eñge
abhī to dard-e-dil-e-rā.egāñ salāmat hai
agarche is ke na hone se kuchh nahīñ hotā
hamāre sar pe magar āsmāñ salāmat hai
sabhī ko shauq-e-shahādat to ho gayā hai magar
kisī ke dosh pe sar hī kahāñ salāmat hai
hamāre siine ke ye zaḳhm bhar ga.e haiñ to kyā
udū ke tiir udū kī kamāñ salāmat hai
jahāñ meñ ranj-e-safar ham bhī khīñchte haiñ magar
jo gum huā hai vahī kārvāñ salāmat hai