bikherūñ rañg ḳhushbū ko masal duuñ
mile jo phuul chehra noch Dālūñ
javāñ ho kar bhī bachchoñ kī sī aadat
khilaunoñ se abhī tak kheltā huuñ
samundar meñ huuñ mauj-e-muztarib sā
magar sahrāoñ jaisī pyaas rakhkhūñ
vo mujh meñ Dhal rahā hai aur maiñ us meñ
ḳhud apnā sā koī lahja TaTolūñ
mizāj-e-gul-parastī gudgudā.e
shamīm-e-gul pe us kā naam likkhūñ