Munawwar Aziz

aaina bhi aaina-gar se ulajhta rah gaya

Munawwar Aziz

aa.ina bhī ā.īna-gar se ulajhtā rah gayā
maiñ hī us bahrūp ghar meñ ek jhūTā rah gayā
aañkh khulte hī umaD aa.ī hai kitnī tīrgī
dekhte hī dekhte sūraj sitāra rah gayā
sar-phirī āñdhī ne āḳhir kar diyā qissa tamām
maiñ charāġhoñ kī lavoñ par haath rakhtā rah gayā
naqsh dhundlā.e to chehre kī shanāsā.ī ga.ī
aañkh putlī meñ laraztā ik hayūlā rah gayā
mauj-e-sahrā se mile shāyad numū kā zā.iqa
jhilmilātā āb-e-dariyā reg-e-dariyā rah gayā
ab 'munavār' kaun lā.egā ḳhabar us paar kī
kis ko lahroñ se nimaTne kā salīqa rah gayā
Top Urdushayar.com