phir saje bazm-e-tarab zulf khule shāna chale
phir vahī silisla-e-shoḳhī-e-rindāna chale
phir ye yakjā.ī-e-yārān-e-chaman ho ki na ho
der tak aaj zarā bazm meñ paimāna chale
phir koī qais ho āvāra-e-sahrā-e-junūñ
phir kisī gesū-e-shab-rañg kā afsāna chale
ham vo bad-mast-e-junūñ haiñ jo sar-e-rāh-e-hayāt
kabhī bā-hosh kabhī hosh se begāna chale
ham ne chāhā to na thā un se ulajhnā lekin
is ko kyā kahiye vo har chaal harīfāna chale
vaqt badlā hai to phir kyuuñ na ba-andāz-e-digar
vahī tahrīk-e-shikast-e-ḳhum-o-ḳhum-ḳhān chale