husn-e-muḳhtār sahī ishq bhī majbūr nahīñ
ye jafāoñ pe jafā ab mujhe manzūr nahīñ
zulf-e-zanjīr sahī dil bhī giraftār magar
maiñ tire halqa-e-ādāb kā mahsūr nahīñ
dil kā saudā hai jo paT jaa.e to behtar varna
maiñ bhī majbūr nahīñ aap bhī majbūr nahīñ
dāman-e-dil se ye begāna-ravī itnā gurez
tum to ik phuul ho kāñToñ kā bhī dastūr nahīñ
chand jaam aur ki maiḳhāna-e-jāñ tak pahuñcheñ
DhūñDne vaale mujhe mujh se bahut duur nahīñ
sab libāsoñ meñ haiñ poshīda gunāhoñ kī tarah
dil-e-bebāk bhī mahfil ke ta.iiñ aur nahīñ
har suḳhan hosh kā hai muftī-e-hairān ke saath
sab piye baiThe haiñ aur koī bhī maḳhmūr nahīñ
sab rasan-basta-e-āzādī-e-īmān hue
ab koī mere sivā banda-e-majbūr nahīñ
us se mil kar bhī udaas us kī judā.ī bhī garāñ
dil ba-har-hāl kisī taur bhī masrūr nahīñ