ehtiyāt ai dil-e-nādāñ vo zamāne na rahe
tere ushshāq tire chāhne vaale na rahe
jin se qaa.em thī tirī shoḳh-nigāhī kī adā
rañg-e-mahfil vo junūñ-ḳhez ishāre na rahe
ai gul-e-shoḳh-adā tujh ko ḳhabar hai ki nahīñ
jo muhāfiz the tire ab vahī kāñTe na rahe
ham jinheñ ham-safar-e-rāh-e-vafā jānte the
kyā batā.eñ ki vahī log hamāre na rahe
sub.h se shaam talak bārish-e-anvār rahī
raat aa.ī to in āñkhoñ meñ sitāre na rahe