ḳhud ko paane kī justujū hai vahī
us se milne kī aarzū hai vahī
us kā chehra usī ke ḳhadd-o-ḳhāl
apnā mauzū-e-guftugū hai vahī
haiñ usī ke ye rañg-hā-e-suḳhan
mere pahlū meñ ḳhūb-rū hai vahī
kitne mausam badal ga.e lekin
dil vahī dil kī aarzū hai vahī
hai vahī shauq-e-chāk-dāmānī
aur phir ḳhvāhish-e-rafū hai vahī
sajda-bāzān-e-shahr pā.inda
dast-e-āzar kī aabrū hai vahī
ḳhū-e-taslīm sar salāmat-bād
bandagī tauq-e-dar-gulū hai vahī
kam nahīñ shor-e-nāla-o-fariyād
mātam-e-shahr aarzū hai vahī